na jaane kyā hue atrāf dekhne vaale
tamām shahr ko shaffāf dekhne vaale
giraft kā koī pahlū nazar nahīñ aatā
malūl haiñ mire ausāf dekhne vaale
sivā.e raakh koī chiiz bhī na haath aa.ī
ki ham the varsa-e-aslāf dekhne vaale
hamesha band hī rakhte haiñ zāhirī āñkheñ
ye tīrgī meñ bahut saaf dekhne vaale
mohabbatoñ kā koī tajraba nahīñ rakhte
har ek saañs kā isrāf dekhne vaale
ab us ke ba.ad hī manzar hai sañg-bārī kā
sambhal ke bārish-e-altāf dekhne vaale
gañvā.e baiThe haiñ āñkhoñ kī raushnī 'shāhid'
jahāñ-panāh kā insāf dekhne vaale