Gulzar Dehlvi

falah-e-admiyat mein saubat sah ke mar jaana

Gulzar Dehlvi

1926
falāh-e-ādmiyat meñ sa.ūbat sah ke mar jaanā
yahī hai kaam kar jaanā yahī hai naam kar jaanā
jahāñ insāniyat vahshat ke hāthoñ zab.h hotī ho
jahāñ tazlīl hai jiinā vahāñ behtar hai mar jaanā
yūñhī dair o haram kī Thokareñ khāte phire barsoñ
tirī Thokar se likkhā thā muqaddar kā sañvar jaanā
sukūn-e-rūh miltā hai zamāne ko tire dar se
bahisht-o-ḳhuld ke mānind ham ne terā dar jaanā
hamārī sāda-lauhī thī ḳhudā-baḳhshe ki ḳhush-fahmī
ki har insān kī sūrat ko mā-fauq-ul-bashar jaanā
ye hai rindoñ pe rahmat roz-e-mahshar ḳhud mashiyyat ne
likhā hai āb-e-kausar se nikhar jaanā sañvar jaanā
chaman meñ is qadar sahme hue haiñ āshiyāñ vaale
ki jugnū kī chamak ko sāzish-e-barq-o-sharar jaanā
hameñ ḳhār-e-vatan 'gulzār' pyāre haiñ gul-e-tar se
ki har zarre ko ḳhāk-e-hind ke shams o qamar jaanā
Top Urdushayar.com