ham jo guzre un kī mahfil ke qarīb
ik kasak sī rah ga.ī dal ke qarīb
sab ke sab baiThe the qātil ke qarīb
be-kasī thī sirf bismil ke qarīb
zindagī kyā thī ajab tūfān thī
ab kahīñ pahuñche haiñ manzil ke qarīb
is qadar ḳhud-rafta-e-sahrā hue
bhuul kar dekhā na mahmil ke qarīb
haa.e us muḳhtār kī majbūriyāñ
jis ne dam toḌā ho manzil ke qarīb
zindagī-o-maut vāhid aa.ina
aadmī hai hadd-e-fāsil ke qarīb
ye tajāhul ārifāna hai janāb
bhuul kar jaanā na ġhāfil ke qarīb
tarbiyat ko husn-e-sohbat chāhiye
baiThiye ustād-e-kāmil ke qarīb
hosh kī kahtā hai dīvāna sadā
aur māyūsī hai aaqil ke qarīb
dekhiye un bad-nasīboñ kā ma.aal
vo jo Duube aa ke sāhil ke qarīb
chhā.ī hai 'gulzār' meñ fasl-e-ḳhizāñ
phuul haiñ sab gul shamā.il ke qarīb