dil-e-dard-āshnā kā mudda.ā kyā
kisī bedād kī kiije davā kyā
huā insāñ hī jab insāñ kā dushman
shikāyat phir kisī kī kyā gila kyā
bahār-e-tāza aa.ī gulsitāñ meñ
khilā.e jaane gul bād-e-sabā kyā
vo kahte haiñ nasheman tark kiije
chalī gulshan meñ ye taaza havā kyā
uThī insāniyat yaksar yahāñ se
yakāyak ḳhū-e-insāñ ko huā kyā
nahīñ ma.alūm mustaqbil kisī ko
marāhil pesh aa.eñ jaane kyā kyā
ujaḌ kar rah gayā do din meñ he he
mire 'gulzār'-e-hindī ko huā kyā