Gulzar Dehlvi

zindagi rah-e-wafa mein jo miTa dete hain

Gulzar Dehlvi

1926
zindagī rāh-e-vafā meñ jo miTā dete haiñ
naqsh ulfat kā vo duniyā meñ jamā dete haiñ
is tarah jurm-e-mohabbat kī sazā dete haiñ
vo jise apnā samajhte haiñ miTā dete haiñ
ek jul roz hameñ aap nayā dete haiñ
va.ada-e-vasl ko bātoñ meñ uḌā dete haiñ
ḳhum-o-mīnā-o-subū bazm meñ aate aate
apnī āñkhoñ se ka.ī jaam pilā dete haiñ
husn kā koī judā to nahīñ hotā andāz
ishq vaale unheñ andāz sikhā dete haiñ
kosne dete haiñ jis vaqt butān-e-tannāz
haath uThā.e hue ham un ko duā dete haiñ
mere ḳhvāboñ meñ bhī aate haiñ adū ke hamrāh
ye vafāoñ kā mirī aap sila dete haiñ
hālat-e-ġhair pe yuuñ ḳhair se hañsne vaale
is tavajjoh kī bhī ham tum ko duā dete haiñ
shahar meñ roz uḌā kar mire marne kī ḳhabar
jashn vo roz raqīboñ kā manā dete haiñ
dair-o-ka.aba ho kalīsā ho ki mai-ḳhāna ho
sab har ik dar pe tujhī ko to sadā dete haiñ
ishva-o-husn-o-adā par tirī marne vaale
kitne ma.asūm yūñhī umr gañvā dete haiñ
pa.e gul-gasht vo gul-posh jo aa.e 'gulzār'
zindagī sabze ke mānind bichhā dete haiñ
Top Urdushayar.com