umr jo be-ḳhudī meñ guzrī hai
bas vahī āgahī meñ guzrī hai
koī mauj-e-nasīm se pūchhe
kaisī āvārgī meñ guzrī hai
un kī bhī rah sakī na dārā.ī
jin kī askandarī meñ guzrī hai
aasrā un kī rahbarī Thahrī
jin kī ḳhud rahzanī meñ guzrī hai
aas ke jugnūo sadā kis kī
zindagī raushnī meñ guzrī hai
ham-nashīnī pe faḳhr kar nādāñ
sohbat-e-ādmī meñ guzrī hai
yuuñ to shā.er bahut se guzre haiñ
apnī bhī shā.erī meñ guzrī hai
miir ke ba.ad ġhālib o iqbāl
ik sadā, ik sadī meñ guzrī hai