ai masīhā-dam tire hote hue kyā ho gayā
baiThe-biThlā.e marīz-e-ishq ThanDā ho gayā
yuuñ mirā soz-e-jigar duniyā meñ rusvā ho gayā
sher-o-naġhma rañg-o-nik.hat jām-o-sahbā ho gayā
chāragar kis kaam kī baḳhiya-garī terī ki ab
aur bhī chāk-e-jigar merā huvaidā ho gayā
hai tirī zulf-e-pareshāñ yā marī dīvāngī
jo tamāsha karne aayā ḳhud tamāshā ho gayā
haa.e ye taaza havā gulshan meñ kaisī chal paḌī
bulbul-e-bāġh-o-bahārāñ rū-ba-sahrā ho gayā
umr-bhar kī mushkileñ pal bhar meñ āsāñ ho ga.iiñ
un ke aate haiñ marīz-e-ishq achchhā ho gayā
kyā mire zaḳhm-e-jigar se khil uThī hai chāñdnī
kin charāġhoñ se zamāne meñ ujālā ho gayā
har tarah māyūs aur mahrūm ho kar pyaar se
jis ke tum pyāre the vo maulā ko pyārā ho gayā
ham gunahgāroñ kī laġhzish hashr meñ kaam aa ga.ī
chashm-e-nam kā dāman-e-tar ko sahārā ho gayā
ik mirī shāḳh-e-nasheman phūñkne ke vāste
kis kī kaj-fahmī se ghar-bhar meñ ujālā ho gayā
ab shafaq yā abr kā 'gulzār' kyuuñ ho intizār
un kī āñkhoñ se jo piine kā ishāra ho gayā