Shahid Meer

samundaron mein agar KHalfishaar-e-ab na ho

Shahid Meer

Madhya Pradesh, India

1949
samundaroñ meñ agar ḳhalfishār-e-āb na ho
saroñ pe sāya-fagan ye ġhubār-e-āb na ho
vo āsmān samajhtā hai apnī āñkhoñ ko
use bhī merī tarah intizār-e-āb na ho
har ek lab pe haiñ naġhmāt ḳhushk-sālī ke
ab is taraf karam-e-be-shumār-e-āb na ho
kahīñ fareb na nikle pukār dariyā kī
ham aab samjhe haiñ jis ko ġhubār-e-āb na ho
phir ehtimām se aa.e haiñ ghir ke abr magar
vo kyā kare ki jise e'tibār-e-āb na ho
siyāh hone lagā hai dayār-e-tishna-labī
ab is maqām se raushan sharār-e-āb na ho
jo ghar se niklā hai paanī kī khoj meñ 'shāhid'
kahīñ vo dafn sar-e-rahguzār aab na ho
Top Urdushayar.com