Gulzar Dehlvi

dil hi dil mein dard ke aise ishaare ho gae

Gulzar Dehlvi

1926
dil hī dil meñ dard ke aise ishāre ho ga.e
ġham zamāne ke sharīk-e-ġham hamāre ho ga.e
jo abhī mahfūz haiñ tanqīd hai un kā shi.ār
haal un kā pūchhiye jo be-sahāre ho ga.e
bin khile murjhā ga.iiñ kaliyāñ chaman meñ kis qadar
zard-rū kis darja haa.e māh-pāre ho ga.e
amn kī tāqat ko kuchlā sach ko rusvā kar diyā
dushmanoñ ke chār-din meñ vāre-nyāre ho ga.e
ye zamāna kis qadar bār-e-garāñ sābit huā
apne begāne hue begāne pyāre ho ga.e
dushman-e-dīñ dushman-e-jāñ dushman-e-amn-o-sukūñ
ek do kā zikr kyā saare ke saare ho ga.e
Dūbne vāloñ se zaa.id khā rahā hai un kā ġham
jin ko sāhil teġh-e-uryāñ ke kināre ho ga.e
ashk-e-ġham meñ nūr-e-rahmat is tarah shāmil rahā
chāñd-tāroñ se sivā ye chāñd-tāre ho ga.e
haif gulzār-e-jahāñ meñ chhā ga.ī ġham kī ghaTā
jo shagūfe the chaman meñ vo sharāre ho ga.e
Top Urdushayar.com