un kī nazar kā lutf numāyāñ nahīñ rahā
ham par vo iltifāt-e-nigārāñ nahīñ rahā
dil-bastagī-o-aish kā sāmāñ nahīñ rahā
ḳhush-bāshī-e-hayāt kā sāmāñ nahīñ rahā
ye bhī nahīñ ki gul meñ latāfat nahīñ rahī
par jannat-nigāh gulistāñ nahīñ rahā
har be-hunar se garm hai bāzār-e-siflagī
ahl-e-hunar ke vāste maidāñ nahīñ rahā
apnī zabān apnā tamaddun badal gayā
lutf-e-kalām ab vo suḳhan-dāñ nahīñ rahā
kyuuñ ab tavāf-e-kū-e-malāmat se hai gurez
kyā vo junūn-e-kūcha-e-jānāñ nahīñ rahā
sīkhā hai hādsāt-e-zamāna se khelnā
ham ko hirās-e-mauja-e-tūfāñ nahīñ rahā
har bait jis ke faiz se bait-ul-ġhazal bane
ab vo surūr-e-chashm-e-ġhazālāñ nahīñ rahā
dīvāngī-e-shauq ke qurbān jā.iye
ab imtiyāz-e-jeb-o-garebāñ nahīñ rahā
pīr-e-muġhāñ kī bai.at-e-kāmil ke faiz se
ab shaiḳh naam kā bhī musalmāñ nahīñ rahā
un kī nigāh-e-nāz kā ye iltifāt hai
chāragaroñ kā ziist par ehsāñ nahīñ rahā
kyā haal hai tumhārā azīzān-e-lucknow
tahzīb-e-ahl-e-dillī kā pursāñ nahīñ rahā
har shai hai is jahān meñ lekin ḳhudā-gavāh
'gulzār' is dayār meñ insāñ nahīñ rahā