na sahī ham pe ināyat nahīñ paimānoñ kī
khiḌkiyāñ khul ga.iiñ āñkhoñ se to mai-ḳhānoñ kī
aa nahīñ saktā samajh meñ kabhī farzānoñ kī
surḳh-rū kaise jabīneñ huiiñ dīvānoñ kī
zulf bikhrā.e sar-e-shām pareshān haiñ vo
qismateñ auj pe haiñ chāk-garebānoñ kī
dāstāñ kohkan-o-qais kī farsūda huī
surḳhiyāñ ham ne badal Daalī haiñ afsānoñ kī
āñkheñ to bhiig chukīñ aur na pyaar aa jaa.e
aur rūdād suneñ aap na dīvānoñ kī
mai-kade aane se pahle kā zamāna tauba
ḳhaak chhānī hai haram aur sanam-ḳhānoñ kī
zaḳhm-e-dil ko koī marham bhī na raas aa.egā
har gul-e-zaḳhm meñ lazzat hai namak-dānoñ kī
jaane kab nikle murādoñ kī dulhan kī Dolī
dil meñ bārāt hai Thahrī huī armānoñ kī
zaḳhm par hañste haiñ ashkoñ ko guhar kahte haiñ
aql maarī ga.ī is daur meñ insānoñ kī
kitne momin nazar aate haiñ sanam-ḳhānoñ meñ
ek kāfir nahīñ bastī meñ musalmānoñ kī
jitnī taz.hīk tire shahar meñ apnoñ kī huī
utnī tauhīn na hogī kahīñ begānoñ kī
raat baḌh baḌh ke jo sham.a pe hue the sadqe
sub.h tak ḳhaak na dekhī ga.ī parvānoñ kī
haram-o-dair kī bastī meñ hai tam.īz-o-nafāq
koī tafrīq-e-milal dekhī na dīvānoñ kī
log kyuuñ shahr-e-ḳhamoshāñ ko khiñche jaate haiñ
jaane kyā jaan hai is bastī meñ be-jānoñ kī
ruḳh badalte haiñ dorāhe pe khaḌe haiñ sālār
sa.ī-e-nākām to dekhe koī nā-dānoñ kī
hāthā-chhāñTī hai ajab aur ajab lūT-khasūT
niyyateñ aur haiñ shāyad ki nigahbānoñ kī
pūchhe 'gulzār' se hai vo ba-zabān-e-sausan
tum kahāñ bazm meñ aa.e ho zabāñ-dānoñ kī