biThā ke dil meñ girāyā gayā nazar se mujhe
dikhāyā turfa-tamāsha balā ke ghar se mujhe
nazar jhukā ke uThā.ī thī jaise pahlī baar
phir ek baar to dekho usī nazar se mujhe
hamesha bach ke chalā huuñ maiñ aam rāhoñ se
haTā sakā na koī merī rahguzar se mujhe
hayāt jis kī amānat hai sauñp duuñ us ko
utārnā hai ye qarza bhī apne sar se mujhe
subū na jaam na miinā se mai pilā be-shak
pilā.e jā mire saaqī yūñhī nazar se mujhe
jo baat hotī hai dil meñ vo kah guzartā huuñ
nahīñ hai koī ġharaz ahl-e-ḳhair-o-shar se mujhe
na dair se na haram se na mai-kade se milā
sukūn-e-rūh milā hai jo tere dar se mujhe
kisī kī rāh-e-mohabbat meñ baḌhtā jaatā huuñ
na rāhzan se ġharaz hai na rāhbar se mujhe
zarā to soch hiqārat se dekhne vaale
zamāna dekh rahā hai tirī nazar se mujhe
zamāna merī nazar se to gir gayā lekin
girā sakā na zamāna tirī nazar se mujhe
ye rañg-o-nūr kā 'gulzār' dahr-e-fānī hai
yahī payām milā umr-e-muḳhtasar se mujhe