phone to duur vahāñ ḳhat bhī nahīñ pahuñcheñge
ab ke ye log tumheñ aisī jagah bhejeñge
zindagī dekh chuke tujh ko baḌe parde par
aaj ke ba.ad koī film nahīñ dekheñge
mas.ala ye hai maiñ dushman ke qarīñ pahuñchūñgā
aur kabūtar mirī talvār pe aa baiTheñge
ham ko ik baar kināroñ se nikal jaane do
phir to sailāb ke paanī kī tarah phaileñge
tū vo dariyā hai agar jaldī nahīñ kī tū ne
ḳhud samundar tujhe milne ke liye ā.eñge
seġha-e-rāz meñ rakkheñge nahīñ ishq tirā
ham tire naam se ḳhushbū kī dukāñ kholeñge