Ziya Mazkoor

koi bhi rasta bahut soch kar chununga main

Ziya Mazkoor

koī bhī rasta bahut soch kar chunūñgā maiñ
aur ab kī baar akelā safar karūñgā maiñ
use likhūñgā ki vo rābta kare mujh se
aur iḳhtitām pe number nahīñ likhūñgā maiñ
maiñ aur hijr ke sadme nahīñ uThā saktā
vo ab jahāñ bhī milā haath joḌ lūñgā maiñ
jagah jagah na ta.alluq ḳharāb kar merā
tire liye to kisī se bhī laḌ paḌūñgā maiñ
vo ek machhlī phañsāne kī der hai mujh ko
phir us ke ba.ad machherā nahīñ rahūñgā maiñ
Top Urdushayar.com