isī nadāmat se us ke kañdhe jhuke hue haiñ
ki ham chhaḌī kā sahārā le kar khaḌe hue haiñ
yahāñ se jaane kī jaldī kis ko hai tum batāo
ki suitcasoñ meñ kapḌe kis ne rakhe hue haiñ
karā to lūñgā ilāqa ḳhālī maiñ laḌ-jhagaḌ kar
magar jo us ne diloñ pe qabze kiye hue haiñ
vo ḳhud parindoñ kā daana lene gayā huā hai
aur us ke beTe shikār karne ga.e hue haiñ
tumhāre dil meñ khulī dukānoñ se lag rahā hai
ye ghar yahāñ par bahut purāne bane hue haiñ
maiñ kaise bāvar karā.ūñ jā kar ye raushnī ko
ki in charāġhoñ pe mere paise lage hue haiñ
tumhārī duniyā meñ kitnā mushkil hai bach ke chalnā
qadam qadam par to āstāne bane hue haiñ
tum in ko chāho to chhoḌ sakte ho rāste meñ
ye log vaise bhī zindagī se kaTe hue haiñ