aise us haath se gire ham log
TūTte TūTte bache ham log
apnā qissa sunā rahā hai koī
aur dīvār ke bane ham log
vasl ke bhed kholtī miTTī
chādareñ jhāḌte hue ham log
us kabūtar ne apnī marzī kī
sīTiyāñ mārte rahe ham log
pūchhne par koī nahīñ bolā
kaise darvāza kholte ham log
hāfize ke liye davā khaa.ī
aur bhī bhūlne lage ham log
ain mumkin thā lauT aatā vo
us ke pīchhe nahīñ ga.e ham log