mere kamre meñ ik aisī khiḌkī hai
jo in āñkhoñ ke khulne par khultī hai
aise tevar dushman hī ke hote haiñ
patā karo ye laḌkī kis kī beTī hai
raat ko is jañgal meñ ruknā Thiik nahīñ
is se aage tum logoñ kī marzī hai
maiñ is shahar kā chāñd huuñ aur ye jāntā huuñ
kaun sī laḌkī kis khiḌkī meñ baiThī hai
jab tū shaam ko ghar jaa.e to paḌh lenā
tere bistar par ik chiTThī chhoḌī hai
us kī ḳhātir ghar se bāhar Thahrā huuñ
varna ilm hai chābī gate pe rakkhī hai