vaqt hī kam thā faisle ke liye
varna maiñ aatā mashvare ke liye
tum ko achchhe lage to tum rakh lo
phuul toḌe the bechne ke liye
ghanToñ ḳhāmosh rahnā paḌtā hai
aap ke saath bolne ke liye
saikaḌoñ kunDiyāñ lagā rahā huuñ
chand baTanoñ ko kholne ke liye
ek dīvār baaġh se pahle
ik dupaTTā khule gale ke liye
tark apnī falāh kar dī hai
aur kyā ho muāshare ke liye
log āyāt paḌh ke sote haiñ
aap ke ḳhvāb dekhne ke liye
ab maiñ raste meñ leT jā.ūñ kyā
jaane vāloñ ko rokne ke liye