Saima Nasim Bano

sulagti nazron ka KHwab ho tum

Saima Nasim Bano

sulagtī nazroñ ḳhvāb ho tum

mohabbatoñ shabāb ho tum

samajh na paa.ī jise kabhī maiñ

kitāb-e-dil vo baab ho tum

kaho to juz daan meñ chhupā luuñ

khulī huī ik kitāb ho tum

bichhe the rāhoñ meñ phuul kitne

jo bhā gayā vo gulāb ho tum

burā kahe tum ko laakh duniyā

mire to ālī-janāb ho tum

nahīñ hai bas maiñ tumheñ bhulānā

ajab tarah azaab ho tum

lagā ki manzil tumhī ho lekin

nazar merī sarāb ho tum

vafā se aarī sahī mizājan

vafā merī javāb ho tum

ka.ī savāloñ meñ tum ghire ho

magar bahut lā-javāb ho tum

ulaT ke rakh hai merī duniyā

hayāt inqalāb ho tum

maiñ raag rañg aur raqs jaisī

ġhazal tarannum rabāb ho tum

ye nashsha TuuTā na zindagī-bhar

bahut purānī sharāb ho tum

ai jaan 'bāno' ye jaan lo ab

ba-zāt-e-ḳhud intiḳhāb ho tum

Top Urdushayar.com