Shahid Meer

har irada muzmahil har faisla kamzor tha

Shahid Meer

Madhya Pradesh, India

1949
har irāda muzmahil har faisla kamzor thā
duur rah kar tum se apnā haal hī kuchh aur thā
apne hī andar kahīñ simTā huā baiThā thā maiñ
ghar ke bāhar jab garajte bādaloñ kā shor thā
ik ishāre par kisī ke jis ne kaaTe the pahāḌ
sochtā huuñ bāzuoñ meñ us ke kitnā zor thaa?
kar liyā hai us ne kyuuñ tārīk shab kā intiḳhāb?
muntazir us ke liye to ik sunahrā daur thaa!
maiñ ne kitnī baar pūchhā tere ghar kā rāsta
zindagī kā mas.ala jis vaqt zer-e-ġhaur thā
Top Urdushayar.com