Saima Nasim Bano

zindagi se hasin udasi hai

Saima Nasim Bano

zindagī se hasīñ udāsī hai
ye mirī ham-nashīñ udāsī hai
kab se pindār meñ muqayyad hai
kaisī parda-nashīñ udāsī hai
lahza lahza use kashīd karo
ki mai-e-añgbīñ udāsī hai
jur.a jur.a pilā mujhe saaqī
man hiran sātgīñ udāsī hai
ka.aba-e-dil meñ hai jo mahv-e-tavāf
jahāñ tāb-e-jabīñ udāsī hai
parbatoñ vādiyoñ meñ bastī hai
jañgaloñ kī makīñ udāsī hai
vo tah-e-āb jal-parī sī hai
merī sahrā-nashīñ udāsī hai
dekh kar lā rahī hai hastī meñ
jān-e-jāñ jā-guzīñ udāsī hai
sun adam se vajūd tak har jā
ḳhānumāñ meñ makīñ udāsī hai
jāda-o-sañg-mīl-o-maskan meñ
rahbaroñ kā yaqīñ udāsī hai
diip bīm-o-rajā kā jaañ gul ho
dekhnā tum vahīñ udāsī hai
zarb ik ḳhol kī fasīloñ meñ
hāshiyoñ ke qarīñ udāsī hai
jauhar-e-hast mirzā-'ġhālib' thī
aaj ḳhāk-e-barīñ udāsī hai
vaañ ḳhushī kī numū muhāl sī hai
us ke dil kī zamīñ udāsī hai
Top Urdushayar.com