Saima Nasim Bano

titli qafas mein qaid-e-saba DhunDhti rahi

Saima Nasim Bano

titlī qafas meñ qaid-e-sabā DhūñDhtī rahī
maiñ shahr-e-nañg meñ bhī ridā DhūñDhtī rahī
vo titliyoñ meñ mast bahut mutma.in sā thā
jis ko chaman meñ merī sadā DhūñDhtī rahī
rut kī tarah mizāj badal kar chalā gayā
vo bevafā thā us meñ vafā DhūñDhtī rahī
taḳht-e-munāfiqat pe vahī hukmarān thā
bahr-e-ḳhulūs jis ko sadā DhūñDhtī rahī
josh-e-junūñ ke haath jise daan kar chukī
phir maiñ zarūratan vo anā DhūñDhtī rahī
dil par lage jo zaḳhm kahāñ mundamil hue
maiñ shahr shahr phirtī davā DhūñDhtī rahī
bastī meñ ek bhī na vafādār mil sakā
maiñ dar-ba-dar bhaTaktī vafā DhūñDhtī rahī
sail-e-balā bhañvar meñ jahāñ chhoḌ kar gayā
maiñ nāḳhudā ke saath ḳhudā DhūñDhtī rahī
dīvār-e-dil se merī churā ke vo le gayā
jagmag sī raushnī vo diyā DhūñDhtī rahī
merī hatheliyoñ pe rache zaḳhm zaḳhm rañg
'bāno' maiñ in meñ bū-e-hinā DhūñDhtī rahī
Top Urdushayar.com