Saima Nasim Bano

KHabar hai ki aaya gulabon ka mausam

Saima Nasim Bano

ḳhabar hai ki aayā gulāboñ kā mausam
guloñ ke badan par hai kāñToñ kā mausam
ḳhudā jaane is rut meñ kyā gul khilā.e
gulistāñ kā joban ye kaliyoñ kā mausam
laboñ kī sharārat nazar se ishārat
dam-e-vasl kaisā hayāoñ kā mausam
ye daur-e-mohabbat bhī kaisā ajab hai
huuñ āñkhoñ meñ bāteñ ishāroñ kā mausam
havā.e judā.ī ye kaisī chalī phir
ġhamoñ kī fazā meñ azāboñ kā mausam
jo pyāse haiñ 'bāno' tum un ko sadā do
ki sahrā meñ utrā hai chashmoñ kā mausam
Top Urdushayar.com