Saima Nasim Bano

aankhon mein jo basa tha wo kajal kahan gaya

Saima Nasim Bano

āñkhoñ meñ jo basā thā vo kājal kahāñ gayā
thā zabt jis ke dam se vo bādal kahāñ gayā
ham jis ke saath shauq se nikle the sair ko
vo ham-safar kahāñ hai vo jañgal kahāñ gayā
kartā thā shahr meñ jo mohabbat se guftugū
ma.alūm hai kisī ko vo pāgal kahāñ gayā
maujeñ bhī us ke paas uThīñ nazm-o-zabt se
sāhil kī jaan thā jo vo dībal kahāñ gayā
phailī huī thī jis ke taqaddus kī raushnī
āñkheñ talāsh meñ haiñ vo āñchal kahāñ gayā
'bāno' jo ġham milā mujhe qismat se ab vahī
le kar kisī kī yād-e-musalsal kahāñ gayā
Top Urdushayar.com