Saima Nasim Bano

chaha hai ajab Dhang se chahat bhi ajab hai

Saima Nasim Bano

chāhā hai ajab Dhañg se chāhat bhī ajab hai
mahbūb ajab hai ye mohabbat bhī ajab hai
pallū mirā thāmā hai ka.ī baar ḳhirad ne
par in dinoñ jazboñ kī baġhāvat bhī ajab hai
jakḌā hai tirī yaad ne afkār ko mere
hamdam tire jazbāt meñ shiddat bhī ajab hai
qurbat ke hasīñ phuul mirī ruuh pe vaare
kyā ḳhuub saḳhī hai ye saḳhāvat bhī ajab hai
ik āriz-e-gul par jamā shabnam sā vo qatra
kirnoñ se zarā qabl rifāqat bhī ajab hai
lahja tirā dhakkā huā lagtā hai ġhazab kā
ġhusse-bhare lahje meñ harārat bhī ajab hai
chehra tirā taptā huā dikhtā hai tapish se
mastī-bhare nainoñ meñ sharārat bhī ajab hai
baazī kabhī haarī nahīñ zālim ne anā kī
chāleñ bhī ajab us kī siyāsat bhī ajab hai
ḳhud qaid-e-vafā kaaT ke dī us ko rihā.ī
'bāno' ye tire dil kī adālat bhī ajab hai
Top Urdushayar.com