Saima Nasim Bano

KHamir mera uTha wafa se

Saima Nasim Bano

ḳhamīr merā uThā vafā se
vajūd merā faqat hayā se
kuchh aur bojhal huā mirā dil
ghuTī huī dard kī fazā se
baras paḌe hasratoñ ke bādal
nazar pe chhā.ī huī ghaTā se
hai vahshatoñ kā safar musalsal
baḌhā junūñ hijr kī sazā se
hatheliyoñ par na rach sakī vo
jo naam likkhā tirā hinā se
banā ga.ī tum ko aur chanchal
jhukī jo merī nazar hayā se
guloñ pe ik be-ḳhudī sī chhā.ī
chaman meñ bahkī huī sabā se
hai vajd kyuuñ shāḳh-e-gul pe taarī
lipaT ke jhūmī vo kyuuñ havā se
mahak kī kirneñ chaman meñ raqsāñ
gulāb kī reshmī qabā se
kalī ko chūmā guloñ ko nochā
kisī ne sīmāb sī adā se
hai to masīhā to kar mudāvā
hai soch zaḳhmī tirī jafā se
vahī adā be-niyāziyoñ kī
to kaam kab tak na luuñ anā se
yaqīn kaise karūñ maiñ 'bāno'
sukūn kyā de sakeñ dilāse
Top Urdushayar.com