kyuuñ aañkh se surḳhī ab chhalkī huī lagtī hai
ye niiñd kī raanī bhī rūThī huī lagtī hai
yādoñ kā tasalsul hai ghanghor judā.ī hai
sāvan kī tarah ye bhī chhā.ī huī lagtī hai
sūjhe na mudāvā kyuuñ ḳhud mere masīhā ko
zaḳhmoñ kī tarah chāhat ristī huī lagtī hai
āvāz ye kis ne dī phir yaad ye kaun aayā
be-tābī-e-dil kuchh kuchh sambhalī huī lagtī hai
guzrī hai gulāboñ ko dāman meñ ḳhizāñ bhar ke
har shāḳh-e-chaman lekin mahkī huī lagtī hai
bāzār-e-mohabbat ke tājir haiñ sitam-pesha
ai 'bāno' tirī qīmat lagtī huī lagtī hai