abhī hai ġhair ke altāf se jafā-e-habīb
vahī razā hai hamārī jo hai razā-e-habīb
na samjhūñ apnā kisī ko raqīb rashk se maiñ
vo merā dost hai jo hove āshnā-e-habīb
vo ḳhvāh qatl kare ḳhvāh merī jaañ baḳhshe
ki marg o ziist pe muḳhtār hai razā-e-habīb
na teġh-e-yār se gardan phirā.ūñ maiñ hargiz
ki ain-lutf samajhtā huuñ maiñ jafā-e-habīb
patiñge sham.a ke sadqe hoñ bulbuleñ gul par
koī kisī ke fidā ho maiñ huuñ fidā-e-habīb
bahisht kī mujhe tarġhīb de na tū vaa.iz
kisī kī mujh ko tamannā nahīñ sivā.e habīb
hamesha mujh se vo kahtā thā mar kahīñ 'hasrat'
hazār shukr pazīrā.ī huī duā-e-habīb