tārīkiyoñ kā ham the hadaf dekhte rahe
sayyāre sab hamārī taraf dekhte rahe
TukḌe hamāre dil ke paḌe the yahāñ vahāñ
thā pattharoñ se jin ko shaġhaf dekhte rahe
barsī thī ek ġham kī ghaTā is dayār meñ
chehroñ kā dhul rahā thā kalaf dekhte rahe
motī mile na ḳhvāb kī parchhā.iyāñ milīñ
āñkhoñ ke khol khol sadaf dekhte rahe
bujhtī huī sī ek shabīh zehn meñ liye
miTtī huī sitāroñ kī saf dekhte rahe
sapne talāsh karte rahe zindagī meñ ham
ik ret kī nadī meñ sadaf dekhte rahe
goyā thā ek aalam kā dariyā chaḌhā huā
'shāhid' sifāt-e-shāh-e-najaf dekhte rahe