Noorul Ain Qaisar Qasmi

hairat-o-KHauf ke mehwar se nikal paDte hain

Noorul Ain Qaisar Qasmi

hairat-o-ḳhauf ke mehvar se nikal paḌte haiñ
aao āseb-zada ghar se nikal paḌte haiñ
jism ko aur sameTūñ to rag-e-jāñ ruk jaa.e
paañv phailā.ūñ to chādar se nikal paḌte haiñ
vo kiyā kartā hai bandoñ kī hifāzat yuuñ bhī
rāste beach samundar se nikal paḌte haiñ
sabr mazlūm kā jab had se guzartā hai to phir
vaar TuuTe hue ḳhanjar se nikal paḌte haiñ
jab maiñ kahtā huuñ ġhazal sāmne us ke qaisar
muzmahil lafz bhī bistar se nikal paḌte haiñ
Top Urdushayar.com