har ik mahāz ko tanhā sambhāle baiThe haiñ
ham ek dil meñ ka.ī rog paale baiThe haiñ
abhī na zor dikhā.e ye kah do āñdhī se
abhī ham apne irādoñ ko Taale baiThe haiñ
sitamgaroñ ne bahāroñ pe kar liyā qabza
chaman ko ḳhūn-e-jigar dene vaale baiThe haiñ
batā.eñ kyā ki hamāre hī rahnumā ab to
hamārī raah meñ ḳhanjar nikāle baiThe haiñ
zamīñ pe apnā baserā to hai magar 'qaisar'
nigāheñ chāñd-sitāroñ pe Daale baiThe haiñ