ḳhudā par hī sadā īmān rakhnā
bahar-sūrat usī kā dhyān rakhnā
ta.alluq ḳhatm to tum kar rahe ho
magar kuchh sulh kā imkān rakhnā
milāo haath sab khul ke lekin
mizājoñ kī bhī kuchh pahchān rakhnā
ajab fitrat kisī kī ho ga.ī hai
nigāhoñ ko mirī hairān rakhnā
kaThin hai raah sachchā.ī kī 'qaisar'
hathelī par hamesha jaan rakhnā