āñsuoñ meñ zarā sī hañsī ghol kar
zahr us ne diyā zindagī ghol kar
us ke chehre pe likhnā hai koī ġhazal
raushnā.ī meñ kuchh chāñdnī ghol kar
ek kār-e-ziyāñ ke sivā kuchh nahīñ
dekh lī shor meñ ḳhāmushī ghol kar
daur-e-hāzir ke sachche ġhazal-kār ham
ek lamhe meñ laa.e sadī ghol kar
ek aḳhbār bhī aaj aisā nahīñ
de ḳhabar sub.h kī raushnī ghol kar
dhuup kī teziyāñ kuchh to maddham paḌīñ
dekhiye mausamoñ kī namī ghol kar
narm lafzoñ meñ ho zikr-e-begāngī
baat kaḌvī kaho chāshnī ghol kar