ye mo.ajiza bhī kisī kī duā kā lagtā hai
ye shahr ab bhī usī bevafā kā lagtā hai
ye tere mere charāġhoñ kī zid jahāñ se chalī
vahīñ kahīñ se ilāqa havā kā lagtā hai
dil un ke saath magar teġh aur shaḳhs ke saath
ye silsila bhī kuchh ahl-e-riyā kā lagtā hai
na.ī girah na.e nāḳhun na.e mizāj ke qarz
magar ye pech bahut ibtidā kā lagtā hai
kahāñ maiñ aur kahāñ faizān-e-naġhma-o-āhañg
karishma sab dar-o-bast-e-navā kā lagtā hai