ham ahl-e-jabr ke nām-o-nasab se vāqif haiñ
saroñ kī fasl jab utrī thī tab se vāqif haiñ
kabhī chhupe hue ḳhanjar kabhī khiñchī huī teġh
sipāh-e-zulm ke ek ek Dhab se vāqif haiñ
vo jin kī dast-ḳhateñ mahzar-e-sitam pe haiñ sabt
har us adiib har us be-adab se vāqif haiñ
ye raat yuuñ hī to dushman nahīñ hamārī ki ham
darāzi-e-shab-e-ġham ke sabab se vāqif haiñ
nazar meñ rakhte haiñ asr-e-buland-e-bāmi-e-mehr
furāt-e-jabr ke har tishna-lab se vāqif haiñ
koī na.ī to nahīñ harf-e-haq kī tanhā.ī
jo jānte haiñ vo is amr-e-rab se vāqif haiñ