Iftikhar Arif

mere KHuda mujhe itna to moatabar kar de

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
mire ḳhudā mujhe itnā to mo'atabar kar de
maiñ jis makān meñ rahtā huuñ us ko ghar kar de
ye raushnī ke ta.āqub meñ bhāgtā huā din
jo thak gayā hai to ab is ko muḳhtasar kar de
maiñ zindagī kī duā māñgne lagā huuñ bahut
jo ho sake to duāoñ ko be-asar kar de
sitāra-e-saharī Dūbne ko aayā hai
zarā koī mire sūraj ko bā-ḳhabar kar de
qabīla-vār kamāneñ kaḌakne vaalī haiñ
mire lahū kī gavāhī mujhe niDar kar de
maiñ apne ḳhvāb se kaT kar jiyūñ to merā ḳhudā
ujaaḌ de mirī miTTī ko dar-ba-dar kar de
mirī zamīn mirā āḳhirī havāla hai
so maiñ rahūñ na rahūñ is ko bārvar kar de
Top Urdushayar.com