Iftikhar Arif

suKHan-e-haq ko fazilat nahin milne wali

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
suḳhan-e-haq ko fazīlat nahīñ milne vaalī
sabr par dād-e-shujā.at nahīñ milne vaalī
vaqt-e-mālūm kī dahshat se laraztā huā dil
Duubā jaatā hai ki mohlat nahīñ milne vaalī
zindagī nazr guzārī to milī chādar-e-ḳhāk
is se kam par to ye ne.amat nahīñ milne vaalī
raas aane lagī duniyā to kahā dil ne ki jā
ab tujhe dard kī daulat nahīñ milne vaalī
havas-e-luqma-e-tar khā ga.ī lahje kā jalāl
ab kisī harf ko hurmat nahīñ milne vaalī
ghar se nikle hue beToñ kā muqaddar ma.alūm
maañ ke qadmoñ meñ bhī jannat nahīñ milne vaalī
zindagī bhar kī kamā.ī yahī misre do-chār
is kamā.ī pe to izzat nahīñ milne vaalī
Top Urdushayar.com