Iftikhar Arif

shahr-e-gul ke KHas-o-KHashak se KHauf aata hai

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
shahr-e-gul ke ḳhas-o-ḳhāshāk se ḳhauf aatā hai
jis kā vāris huuñ usī ḳhaak se ḳhauf aatā hai
shakl banñe nahīñ paatī ki bigaḌ jaatī hai
na.ī miTTī ko na.e chaak se ḳhauf aatā hai
vaqt ne aise ghumā.e ufuq āfāq ki bas
mehvar-e-gardish-e-saffāk se ḳhauf aatā hai
yahī lahja thā ki meyār-e-suḳhan Thahrā thā
ab isī lahja-e-be-bāk se ḳhauf aatā hai
aag jab aag se miltī hai to lau detī hai
ḳhaak ko ḳhaak kī poshāk se ḳhauf aatā hai
qāmat-e-jāñ ko ḳhush aayā thā kabhī ḳhil.at-e-ishq
ab isī jāma-e-sad-chāk se ḳhauf aatā hai
kabhī aflāk se nāloñ ke javāb aate the
in dinoñ ālam-e-aflāk se ḳhauf aatā hai
rahmat-e-sayyad-e-laulāk pe kāmil īmān
ummat-e-sayyad-e-laulāk se ḳhauf aatā hai
Top Urdushayar.com