ḳhauf se ab yuuñ na apne ghar kā darvāza lagā
tez haiñ kitnī havā.eñ is kā andāza lagā
ḳhushk thā mausam magar barsī ghaTā jab yaad kī
dil kā murjhāyā huā ġhuncha tar-o-tāza lagā
raushnī sī kar ga.ī qurbat kisī ke jism kī
ruuh meñ khultā huā mashriq kā darvāza lagā
ye añdherī raat benām-o-nishāñ kar jā.egī
apne chehre par sunahrī dhuup kā ġhāza lagā
zehn par jis dam tirā ehsās ġhālib aa gayā
duur tak bikhrā huā lafzoñ kā shīrāza lagā
ham-ḳhayāl o ham-navā bhī tujh ko mil hī jā.eñge
raat ke tanhā musāfir koī āvāza lagā