Iftikhar Arif

thakan to agle safar ke liye bahana tha

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
thakan to agle safar ke liye bahāna thā
use to yuuñ bhī kisī aur samt jaanā thā
vahī charāġh bujhā jis kī lau qayāmat thī
usī pe zarb paḌī jo shajar purānā thā
matā-e-jāñ kā badal ek pal kī sarshārī
sulūk ḳhvāb kā āñkhoñ se tājirāna thā
havā kī kaaT shagūfoñ ne jazb kar lī thī
tabhī to lahja-e-ḳhushbū bhī jārehāna thā
vahī firāq kī bāteñ vahī hikāyat-e-vasl
na.ī kitāb kā ek ik varaq purānā thā
qabā-e-zard nigār-e-ḳhizāñ pe sajtī thī
tabhī to chaal kā andāz ḳhusravāna thā
Top Urdushayar.com