Iftikhar Arif

bikhar jaenge hum kya jab tamasha KHatm hoga

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
bikhar jā.eñge ham kyā jab tamāshā ḳhatm hogā
mire ma.abūd āḳhir kab tamāshā ḳhatm hogā
charāġh-e-hujra-e-darvesh kī bujhtī huī lau
havā se kah ga.ī hai ab tamāshā ḳhatm hogā
kahānī meñ na.e kirdār shāmil ho ga.e haiñ
nahīñ ma.alūm ab kis Dhab tamāshā ḳhatm hogā
kahānī aap uljhī hai ki uljhā.ī ga.ī hai
ye uqda tab khulegā jab tamāshā ḳhatm hogā
zamīñ jab adl se bhar jā.egī nūrun-alā-nūr
ba-nām-e-maslak-o-maz.hab tamāshā ḳhatm hogā
ye sab kaTh-putliyāñ raqsāñ raheñgī raat kī raat
sahar se pahle pahle sab tamāshā ḳhatm hogā
tamāshā karne vāloñ ko ḳhabar dī jā chukī hai
ki parda kab giregā kab tamāshā ḳhatm hogā
dil-e-nā-mutma.in aisā bhī kyā māyūs rahnā
jo ḳhalq uTThī to sab kartab tamāshā ḳhatm hogā
Top Urdushayar.com