Iftikhar Arif

faza mein wahshat-e-sang-o-sinan ke hote hue

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
fazā meñ vahshat-e-sañg-o-sināñ ke hote hue
qalam hai raqs meñ āshob-e-jāñ ke hote hue
hamīñ meñ rahte haiñ vo log bhī ki jin ke sabab
zamīñ buland huī āsmāñ ke hote hue
ba-zid hai dil ki na.e rāste nikāle jaa.eñ
nishān-e-rah-guzar-e-raftagāñ ke hote hue
jahān-e-ḳhair meñ ik hujra-e-qanā.at-o-sabr
ḳhudā kare ki rahe jism o jaañ ke hote hue
qadam qadam pe dil-e-ḳhush-gumāñ ne khaa.ī maat
ravish ravish nigah-e-mehrbāñ ke hote hue
maiñ ek silsila-e-ātishīñ meñ bai.at thā
so ḳhaak ho gayā nām-o-nishāñ ke hote hue
maiñ chup rahā ki vazāhat se baat baḌh jaatī
hazār sheva-e-husn-e-bayāñ ke hote hue
ulajh rahī thī havāoñ se ek kashtī-e-harf
paḌī hai ret pe āb-e-ravāñ ke hote hue
bas ek ḳhvāb kī sūrat kahīñ hai ghar merā
makāñ ke hote hue lā-makāñ ke hote hue
duā ko haat uThāte hue laraztā huuñ
kabhī duā nahīñ māñgī thī maañ ke hote hue
Top Urdushayar.com