vahī pyaas hai vahī dasht hai vahī gharānā hai
mashkīze se tiir kā rishta bahut purānā hai
sub.h savere ran paḌnā hai aur ghamsān kā ran
rātoñ raat chalā jaa.e jis jis ko jaanā hai
ek charāġh aur ek kitāb aur ek umīd-e-asāsa
us ke ba.ad to jo kuchh hai vo sab afsāna hai
dariyā par qabza thā jis kā us kī pyaas azaab
jis kī Dhāleñ chamak rahī thiiñ vahī nishāna hai
kāsa-e-shām meñ sūraj kā sar aur āvāz-e-azāñ
aur āvāz-e-azāñ kahtī hai farz nibhānā hai
sab kahte haiñ aur koī din ye hañgāma-e-dahr
dil kahtā hai ek musāfir aur bhī aanā hai
ek jazīra us ke aage pīchhe saat samundar
saat samundar paar sunā hai ek ḳhazāna hai