Iftikhar Arif

manzar se hain na dida-e-bina ke dam se hain

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
manzar se haiñ na dīda-e-bīnā ke dam se haiñ
sab mo.ajaze tilism-e-tamāshā ke dam se haiñ
miTTī to sāmne kā havāla hai aur bas
kuuze meñ jitne rañg haiñ dariyā ke dam se haiñ
kyā aisī manziloñ ke liye naqd-e-jāñ gañvā.eñ
jo ḳhud hamāre naqsh-e-kaf-e-pā ke dam se haiñ
ye saarī jannateñ ye jahannam azaab o ajr
saarī qayāmateñ isī duniyā ke dam se haiñ
ham saare yādgār-e-zamīn-o-zamāna log
ik sāhab-e-zamīn-o-zamāna ke dam se haiñ
Top Urdushayar.com