Iftikhar Arif

hijr ki dhup mein chhanw jaisi baaten karte hain

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
hijr kī dhuup meñ chhāñv jaisī bāteñ karte haiñ
aañsū bhī to maaoñ jaisī bāteñ karte haiñ
rasta dekhne vaalī āñkhoñ ke anhone-ḳhvāb
pyaas meñ bhī dariyāoñ jaisī bāteñ karte haiñ
ḳhud ko bikharte dekhte haiñ kuchh kar nahīñ paate haiñ
phir bhī log ḳhudāoñ jaisī bāteñ karte haiñ
ek zarā sī jot ke bal par añdhiyāroñ se bair
pāgal diye havāoñ jaisī bāteñ karte haiñ
rañg se ḳhushbuoñ kā naatā TūTtā jaatā hai
phuul se log ḳhizāoñ jaisī bāteñ karte haiñ
ham ne chup rahne kā ahd kyā hai aur kam-zarf
ham se suḳhan-ārāoñ jaisī bāteñ karte haiñ
Top Urdushayar.com