Iftikhar Arif

KHalq ne ek manzar nahin dekha bahut dinon se

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
ḳhalq ne ik manzar nahīñ dekhā bahut dinoñ se
nok-e-sināñ pe sar nahīñ dekhā bahut dinoñ se
patthar pe sar rakh kar sone vaale dekhe
hāthoñ meñ patthar nahīñ dekhā bahut dinoñ se
qātil jis kī zad se ḳhud mahfūz rah sake
aisā koī ḳhanjar nahīñ dekhā bahut dinoñ se
apne hī ḳhemoñ par jo shab-ḳhūn na maare
aisā koī lashkar nahīñ dekhā bahut dinoñ se
shāḳh-e-burīda khulī fazā se pūchh rahī hai
koī shikasta-par nahīñ dekhā bahut dinoñ se
zindāñ ahl-e-junūñ ko shāyad raas aa gayā
dīvāroñ meñ dar nahīñ dekhā bahut dinoñ se
ḳhaak uḌāne vaale logoñ kī bastī meñ
koī sūrat-gar nahīñ dekhā bahut dinoñ se
sachche sā.īñ hamāre 'hazrat-mehr-alī-shāh'
baabā ham ne ghar nahīñ dekhā bahut dinoñ se
Top Urdushayar.com