Iftikhar Arif

sajal ki shor zaminon mein aashiyana kare

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
sajal ki shor zamīnoñ meñ āshiyāna kare
na jaane ab ke musāfir kahāñ Thikānā kare
bas ek baar use paḌh sakūñ ġhazal kī tarah
phir us ke baad to jo gardish-e-zamāna kare
havā.eñ vo haiñ ki har zulf pechdār huī
kise dimāġh ki ab ārzū-e-shāna kare
abhī to raat ke sab nigah-dār jāgte haiñ
abhī se kaun charāġhoñ kī lau nishāna kare
sulūk meñ bhī vahī tazkire vahī tash.hīr
kabhī to koī ik ehsān ġhā.ebāna kare
maiñ sab ko bhuul gayā zaḳhm-e-mundamil kī misāl
magar vo shaḳhs ki har baat jārehāna kare
Top Urdushayar.com