dost kyā ḳhud ko bhī pursish kī ijāzat nahīñ dī
dil ko ḳhuuñ hone diyā aañkh ko zahmat nahīñ dī
ham bhī us silsila-e-ishq meñ bai.at haiñ jise
hijr ne dukh na diyā vasl ne rāhat nahīñ dī
ham bhī ik shaam bahut uljhe hue the ḳhud meñ
ek shaam us ko bhī hālāt ne mohlat nahīñ dī
ājizī baḳhshī ga.ī tamkanat-e-faqr ke saath
dene vaale ne hameñ kaun sī daulat nahīñ dī
bevafā dost kabhī lauT ke aa.e to unheñ
ham ne iz.hār-e-nadāmat kī aziyyat nahīñ dī
dil kabhī ḳhvāb ke pīchhe kabhī duniyā kī taraf
ek ne ajr diyā ek ne ujrat nahīñ dī