ye ab khulā ki koī bhī manzar mirā na thā
maiñ jis meñ rah rahā thā vahī ghar mirā na thā
maiñ jis ko ek umr sambhāle phirā kiyā
miTTī batā rahī hai vo paikar mirā na thā
mauj-e-havā-e-shahr-e-muqaddar javāb de
dariyā mire na the ki samundar mirā na thā
phir bhī to sañgsār kiyā jā rahā huuñ maiñ
kahte haiñ naam tak sar-e-mahzar mirā na thā
sab log apne apne qabīloñ ke saath the
ik maiñ hī thā ki koī bhī lashkar mirā na thā