kahāñ ke naam o nasab ilm kyā fazīlat kyā
jahān-e-rizq meñ tauqīr-e-ahl-e-hājat kyā
shikam kī aag liye phir rahī hai shahr-ba-shahr
sag-e-zamāna haiñ ham kyā hamārī hijrat kyā
dimashq-e-maslahat o kūfa-e-nifāq ke biich
fuġhān-e-qāfila-e-be-navā kī qīmat kyā
ma.āl-e-izzat-e-sādāt-e-ishq dekh ke ham
badal ga.e to badalne pe itnī hairat kyā
qimār-ḳhāna-e-hastī meñ ek baazī par
tamām umr lagā dī to phir shikāyat kyā
faroġh-e-san.at-e-qad-āvarī kā mausam hai
subuk hue pe bhī niklā hai qadd-o-qāmat kyā